Koi waqt purana yaad aya ,  Phir durr suhana yaad yaya ,  Or chupkay se In dewaron pe ,  Kuch likh kar jana yaad aaya ,  Tera milna neend ki chaaon mein ,  Or Sir rakh dena kandhay par ,  Mera yeh  kehna koi dekh na Le ,  Tera Wo Ghabrana Yaad Aaya ,  Aisa bhi tu aksar hota tha ,  Mein tujhko chorne jata tha ,  Barish ki bheegi raaton mein ,  Tera hanth hilana yaad aaya ,  Wo waqt gaya betay lamhe ,  Ab har janib tanhai hai ,  Bass ek hi manzar ankhon mein ,  Tera chor ke Jana yaad aaya ,