Koi Waqt Purana Yaad Aya !!

     Koi waqt purana yaad aya ,
Phir durr suhana yaad yaya ,
Or chupkay se In dewaron pe ,
Kuch likh kar jana yaad aaya ,
Tera milna neend ki chaaon mein ,
Or Sir rakh dena kandhay par ,
Mera yeh  kehna koi dekh na Le ,
Tera Wo Ghabrana Yaad Aaya ,
Aisa bhi tu aksar hota tha ,
Mein tujhko chorne jata tha ,
Barish ki bheegi raaton mein ,
Tera hanth hilana yaad aaya ,
Wo waqt gaya betay lamhe ,
Ab har janib tanhai hai ,
Bass ek hi manzar ankhon mein ,
Tera chor ke Jana yaad aaya ,

Comments